Saturday, September 5, 2009

Ek Boond

Ek Boond
Written by Ayodhya Singh Upadhyay 'Hariodh'

Jyon nikal kar baadalon kee god se
thi abhi ek boond kuchh aage badhi,
sochane fir-fir yahi ji men lagi,
aah! kyon ghar chhodkar main yon kadhi ?

Dev mere bhagya men kya hai bada,
main bachoongi ya miloongi dhool men ?
ya jaloongi gir angare par kisi,
choo padoongi ya kamal ke phool men ?

Bah gayi us kaal ek aisi hava,
vah samundar ore aaee anmani,
ek sundar seep ka munh tha khula,
vah usi men ja padi moti bani.

Log yon hi hain jhijhakte, sochate,
jabaki unko chhodna padata hai ghar,
kintu ghar ka chhodna aksar unhen,
boond laun kuchh aur hi deta hai kar.

No comments:

Post a Comment