Saturday, August 22, 2009

Khoobsurat Mor (Sahir Ludhianvi)

Chalo ik baar phir se ajnabii ban jaayeiN ham donoN!

Na maiN tum se koii ummeed rakhouN dil-navaazii kii
Na tum meri taraf dekho Ghalat-andaaz nazroN se
Na mere dil kii dhaRkan laRkhaRaaye merii baatoN meiN
Na zaahir ho tumhaari kash-ma-kash kaa raaz nazroN se

TumheiN bhi koii uljhan roktii hai pesh-qadmii se
Mujhe bhi log kahte haiN k ye jalve paraaye haiN
Mere hamraah bhii rusvaaiyaaN haiN mere maazii kii
Tumhaare saath bhii guzrii huii raatoN ke saaye haiN

Ta’arruf rog ho jaaye to usko bhoolna behtar
Ta’alluq bhoj ban jaaye to usko toRna achchhaa
Vo afsaanaa jise aNjaam tak laanaa na ho mumkin
Use ik Khoobsoorat moR dekar chhoRnaa achchha

Chalo ik baar phir se ajnabii ban jaayeiN ham donoN

------------------
Glossary:

pesh-qadmi = making a move
maazii = past
ta’arruf = acquaintance (to know someone)
ta’alluq = relation (with someone)
afsaanaa = story
anjaam = end, result